MeraGana uses cookies for use of the site. By continuing to use our site, you accept our use of cookies. our Privacy Policy and Terms of Service.  
We added new tracks to our online Karaoke please visit Newsletter Archive  
Meragana
Close
MeraGana
Meragana Portal
Close
Play Song
HomePopular Last 7 Days
HomePopular Last 7 Days
Search Karaoke Songs 
clear text      
0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U V W X Y Z    Show All


ye raatein ye mausam nadee ka kinara ye chanchal hawa ye raatein ye mausam nadee ka kinara ye chanchal hawa kaha do dilon ne ke milkar kabhi hum na honge judaa ye raatein ye mausam nadee ka kinara ye chanchal hawa ye kya baat hai aaj ki chandni mein ye kya baat hai aaj ki chandni mein ke hum kho gaye pyaar ki raagni mein ye baahon mein baahein ye behki nigahein lo aane laga zindagi ka maza ye raatein ye mausam nadee ka kinara ye chanchal hawa sitaron ki mehfil ne karke ishaara sitaron ki mehfil ne karke ishaara kaha ab to saara jahaan hai tumhara muhabbat jawaan ho khula aasman ho kare koi dil aarzoo aur kya ye raatein ye mausam nadee ka kinara ye chanchal hawa kasam hai tumhein tum agar mujhse roothe kasam hai tumhein tum agar mujhse roothe rahe saans jab tak ye bandhan na toote tumhein dil diya hai ye wada kiya hai sanam main tumhari rahoongi sada ye raatein ye mausam nadee ka kinara ye chanchal hawa kaha do dilon ne ke milkar kabhi hum na honge judaa ye raatein click here
ajeeb daastaan hai ye kahaan shuru kahaan khatam ye manzilen hain kaun si naa wo samjh sake naa hum ajeeb daastaan hai ye kahaan shuru kahaan khatam ye manzilen hain kaun si naa wo samjh sake naa hum ye roshni ke saath kyun dhuwaan utha chiraag se ye roshni ke saath kyun dhuwaan utha chiraag se ye khaab dekhti hoon main ke jag padi hoon khaab se ajeeb daastaan hai ye kahaan shuru kahaan khatam ye manzilen hain kaun si naa wo samjh sake naa hum mubaaraqe tumhen ke tum kisi ke noor ho gaye mubaaraqe tumhen ke tum kisi ke noor ho gaye kisi ke itne paas hoo ke sab se door ho gaye ajeeb daastaan hai ye kahaan shuru kahaan khatam ye manzilen hain kaun si naa wo samjh sake naa hum kisi kaa pyaar le ke tum naya jahaan basaaoge kisi kaa pyaar le ke tum naya jahaan basaaoge ye shaam jab bhi aayegi tum humko yaad aaoge ajeeb daastaan hai ye kahaan shuru kahaan khatam ye manzilen hain kaun si naa wo samjh sake naa hum click here
lag jaa gale ke phir ye haseen raat ho naa hoo shaayad phir iss janam mein mulaaqat ho naa hooo lag jaa gale aye aye humko mili hain aaj ye ghadiyaan naseeb se jee bhar ke dekh lijiye humko kareeb se phir aap ke naseeb mein ye baat ho naa hooo shaayad phir iss janam mein mulaaqat ho naa hooo lag jaa gale aye aye paas aaiye ke hum nahin aayenge baar baar baahen gale mein daal ke hum ro len zaar zaar aankhon se phir ye pyaar ki barsaat ho naa hooo shaayad phir iss janam mein mulaaqat ho naa hooo lag jaa gale ke phir ye haseen raat ho naa hoo shaayad phir iss janam mein mulaaqat ho naa hooo lag jaa gale aye aye click here
ye samaa samaa hai ye pyaar kaa kisi ke intezaar kaa dil naa chura le kahin mera mausam bahaar kaa ye samaa samaa hai ye pyaar kaa kisi ke intezaar kaa dil naa chura le kahin mera mausam bahaar kaa basne lage aankhon mein kuchh aise sapne basne lage aankhon mein kuchh aise sapne koi bulaaye jaiseeee nainon se apne nainon se apne ye samaa samaa hai deedaar kaa kisi ke intezaar kaa dil naa chura le kahin mera mausam bahaar kaa hmm hmm hmm hmmmmmm hmm hmm hmm hmmmmmm mil ke khayaalon mein hi apne balam se mil ke khayaalon mein hi apne balam se neend ganwaali apni maine kasam seeeeee maine kasam se ye samaa samaa hai khumaar kaa kisi ke intezaar kaa dil naa chura le kahin mera mausam bahaar kaa ye samaa samaa hai ye pyaar kaa hmm hmm hmm hmm hmm hmm hmm hmm click here
abhi na jaao chhodkar ke dil abhi bharaa nahin abhi na jaao chhodkar ke dil abhi bharaa nahin abhi abhi to aayi ho abhi abhi to abhi abhi to aayi ho bahaar ban ke chhaayi ho hawaa zaraa mehek to le nazar zaraa behek to le ye shaam dhal to le zaraa ye shaam dhal to le zaraa ye dil sanbhal to le zaraa main thodi der jee to loon nashe ke ghoont pee to loon nashe ke ghoont pee to loon abhi to kuchh kahaa nahin abhi to kuchh sunaa nahin abhi na jaao chhodkar ke dil abhi bharaa nahin sitaare jhilmilaa uthe sitaare jhilmilaa uthe charaag jagmagaa uthe bas ab na mujh ko toknaa bas ab na mujh ko toknaa na badh ke raah roknaa agar main ruk gayi abhi to jaa na paaoongi kabhi yahi kahoge tum sadaa ke dil abhi nahin bharaa jo khatm ho kisi jagah ye aisaa silsilaa nahin abhi nahin abhi nahin nahin nahin nahin nahin abhi na jaao chhodkar ke dil abhi bharaa nahin adhuri aas adhuri aas chhod ke adhuri pyaas chhod ke jo roz yoon hi jaaogi to kis tarah nibhaaogi ke zindagi ki raah click here
aa chal ke tujhe main le ke chaloon ik aise gagan ke talle jahan ghum bhi na ho aansoo bhi na ho bas pyaar hi pyaar palle aa chal ke tujhe main le ke chaloon ik aise gagan ke talle jahan ghum bhi na ho aansoo bhi na ho bas pyaar hi pyaar palle ik aise gagan ke talle suraj ki pehli kiran se aashaa ka savera jaage suraj ki pehli kiran se aashaa ka savera jaage chandaa ki kiran se dhul kar ghanghor andhera bhaage chandaa ki kiran se dhul kar ghanghor andhera bhaage kabhi dhoop khille kabhi chhaanv mille lambi si dagar na khalle jahan ghum bhi na ho aansoo bhi na ho bas pyaar hi pyaar palle ik aise gagan ke talle jahan door nazar daudaaein aazaad gagan lehraaye jahan door nazar daudaaein aazaad gagan lehraaye jahan rang birange panchhi aashaa ka sandesa laayein jahan rang birange panchhi aashaa ka sandesa laayein sapnon me pali hansati ho kali jahan shaam suhaani dhalle jahan ghum bhi na ho aansoo bhi na ho bas pyaar hi pyaar palle ik aise gagan ke talle sapnon ke aise click here
pukaarta chala hoon main gali gali bahaar ki bas ek chhaanv zulf ki bas ik nigaah pyaar ki pukaarta chala hoon main gali gali bahaar ki bas ek chhaanv zulf ki bas ik nigaah pyaar ki pukaarta chala hoon main ye dillagi ye shaukhiyaan salaam ki yahi to baat ho rahi hai kaam ki koi to mud ke dekh legaa is taraf koi nazar to hogi mere naam ki pukaarta chala hoon main gali gali bahaar ki bas ek chhaanv zulf ki bas ik nigaah pyaar ki pukaarta chala hoon main suni meri sadaa to kis yakeen se ghata utar ke aa gayee zameen pe rahi yahi lagan to ae dil e jawaan asar bhi ho rahegaa ik haseen pe pukaarta chala hoon main gali gali bahaar ki bas ek chhaanv zulf ki bas ik nigaah pyaar ki pukaarta chala hoon main click here
hmmm hmmm hmmm hmm hmm hmm hmm hmm hmmm chaudhveen ka chaand ho yaa aaftaab ho jo bhi ho tum khuda ki kasam lajawaab hoooo chaudhveen ka chaand ho yaa aaftaab ho jo bhi ho tum khuda ki kasam lajawaab hoooo chaudhveen ka chaand ho zulfen hain jaise kaandhon pe baadal jhuke huye aankhen hain jaise mai ke pyaale bhare huye masti hai jiss mein pyaar ki tum wo sharaab hoooo chaudhveen ka chaand ho chehraa hai jaise jheel mein hansta hua kanwal yaa zindagi ke saaz pe chhedi huyi ghazal jaane bahaar tum kisi shaayir ka khwaab hoooo chaudhveen ka chaand ho honton pe khelti hain tabassum ki bijliyaan sajde tumhaari raah mein karti hain kehkashaa duniyaa e husn o ishq kaa tum hi shabaab hoooo chaudhveen ka chaand ho yaa aaftaab ho click here
khuda e bartar teri zameen par zamin ki khaatir yeh jung kyun hai har ek fatah o jafar ke daaman pe khun e insaan kaa rang kyun hai khuda e bartar zameen bhi teri hain hum bhi tere yeh milkiyat kaa savaal kya hai yeh katl o khoon ka rivaaz kyun hai yeh rasm e jungo jadaal kya hai jinhe talab hai jahaan bhar ki unhi kaa dil itna tang kyun hai khuda e bartar garib maaon sharif behnon ko amn o izjat ki zindagi de jinhe ataa ki hai tune taakat unhe hidaayat ki roshni de saron mein kibr o guroor kyun hain dilon ke sheeshe pe jung kyun hai khuda e bartar khaza ke raste pe jaane waalon ko bach ke aane ki raah dena dilon ke gulshan ujad na jaayen muhabbaton ko panaah dena jahaan mein jashn e wafa ke badle yeh jashn e teer o tafang kyun hai khuda e bartar teri zameen par zameen ki khaatir yeh jung kyun hai har ek fatah o jafar ke daaman pe khoon e insaan kaa rang kyun hai khuda e bartar click here
kuchh na kaho kuchh bhi na kaho kuchh na kaho kuchh bhi na kaho kya kehna hai kya sunnaa hai mujhko pataa hai tumko pataa hai samay ka ye pal tham sa gayaa hai aur iss pal mein koi nahin hai bas ek main hoon bas ek tum ho kuchh na kaho kuchh bhi na kaho kitne gehre halke shaam ke rang hain chhalke parbat se yun utre baadal jaise aanchal dhalke kitne gehre halke shaam ke rang hain chhalke parbat se yun utre baadal jaise aanchal dhalke aur iss pal mein koi nahin hai bas ek main hoon bas ek tum ho kuchh na kaho kuchh bhi na kaho sulgi sulgi saansen behki behki dhadkan mehke mehke shaam ke saaye pighale pighale tan mann sulgi sulgi saansen behki behki dhadkan mehke mehke shaam ke saaye pighale pighale tan mann aur iss pal mein koi nahin hai bas ek main hoon bas ek tum ho kuchh na kaho kuchh bhi na kaho kya kehna hai kya sunnaa hai mujhko pataa hai tumko pataa hai samay ka ye pal tham sa gayaa hai aur iss pal mein koi nahin hai bas ek main hoon bas ek tum ho click here
zindagi ke safar mein guzar jaate hain jo maqaam wo phir nahin aate wo phir nahin aate zindagi ke safar mein guzar jaate hain jo maqaam wo phir nahin aate wo phir nahin aate phool khilte hain log milte hain phool khilte hain log milte hain magar patjhad mein jo phool murjhaa jaate hain wo bahaaron ke aane se khilte nahin kuchh log ik roz jo bichhad jaate hain wo hazaaron ke aane se milte nahin umr bhar chaahe koi pukaara kare unka naam wo phir nahin aate wo phir nahin aate aankh dhokha hai kya bharosa hai aankh dhokha hai kya bharosa hai suno doston shaq dosti ka dushman hai apne dil mein ise ghar banaane naa do kal tadapna pade yaad mein jinki rok lo ruth kar unko jaane naa do baad mein pyaar ke chaahe bhejo hazaaro salaam wo phir nahin aate wo phir nahin aate suboh aati hai raat jaati hai suboh aati hai raat jaati hai yunhi waqt chalta hi rehtaa hai rukta nahin ek pal mein ye aage nikal jaata hai aadmi thik se dekh paata nahin aur parde pe manzar badal jaata hai click here
pal pal dil ke paas tum rehti ho pal pal dil ke paas tum rehti ho jeevan meethi pyaas ye kehti ho pal pal dil ke paas tum rehti ho har shaam aankhon par tera anchal lehraaye har raat yaadon ki baaraat le aaye main saans leta hoon teri khushboo aati hai ik mehka mehka sa paigaam laati hai mere dil ki dhadkan bhi tere geet gaati hai pal pal dil ke paas tum rehti ho kal tujhko dekha tha maine apne aangan mein jaise keh rahi thi tum mujhe baandh lo bandhan mein ye kaisa rishta hai ye kaise sapne hain begaane ho kar bhi kyun lagte apne hain main soch mein rehta hoon darr darr ke kehta hoon pal pal dil ke paas tum rehti ho tum sochogi kyun itna main tumse pyaar karoon tum samjhogi deewana main bhi iqraar karoon deewanon ki ye baatein deewaane jaante hain jalne mein kya maza hai parwaane jaante hain tum yun hi jalaate rehna aa aa kar khwabon mein pal pal dil ke paas tum rehti ho jeevan meethi pyaas ye kehti ho pal pal dil ke paas tum rehti ho click here
aap ki nazron ne samjha pyaar ke kaabil mujhe dil ki aye dhadkan thaher jaa mil gayee manzil mujhe aap ki nazron ne samjha ji humen manzoor hai aap ka ye faisla ji humen manzoor hai aap ka ye faisla keh rahi hai har nazar banda parvar shukriya hans ke apni zindagi mein kar liya shamil mujhe dil ki aye dhadkan thaher jaa mil gayee manzil mujhe aap ki nazron ne samjha aap ki manzil hoon main meri manzil aap hain aap ki manzil hoon main meri manzil aap hain kyun main tufaan se darun mera saahil aap hain koi tufaanon se keh de mil gaya saahil mujhe dil ki aye dhadkan thaher jaa mil gayee manzil mujhe aap ki nazron ne samjha pad gayee dil par mere aap ki parchhaaiyaan pad gayee dil par mere aap ki parchhaaiyaan har taraf bajne lagi saikadon shahanaiyaan do jahan ki aaj khushiyaan ho gayeen haasil mujhe aap ki nazron ne samjha pyaar ke kaabil mujhe dil ki aye dhadkan thaher jaa mil gayee manzil mujhe aap ki nazron ne samjha click here
ye nayan darre darre ye jaam bhare bhare zaraa peene do kal ki kis ko khabar ik raat ho ke nidar mujhe jeene do hmm hmm hmm hmm hmm hmm hmm raat haseen ye chaand haseen tu sabse haseen mere dilbar raat haseen ye chaand haseen tu sabse haseen mere dilbar aur tujhse haseen aur tujhse haseen tera pyaar tu jaane na ye nayan darre darre ye jaam bhare bhare zaraa peene do ye nayan darre darre hmm hmm hmm hmm hmm hmm hmm hmm hmm hmm pyaar mein hai jeevan ki khushi deti hai khushi kai ghum bhi pyaar mein hai jeevan ki khushi deti hai khushi kai ghum bhi main maan bhi loon main maan bhi loon kabhi haar tu maane na ye nayan darre darre ye jaam bhare bhare zaraa peene do kal ki kis ko khabar ik raat ho ke nidar mujhe jeene do hmm hmm hmm hmm hmm hmm hmm hmm hmm hmm hmm hmm hmm hmm hmmmm hmmm hmmm hmmm hmmm hmmmm hmm hmm hmm hmm hmm hmm hmm hmm hmm hmm hmm hmm hmm hmm hmmmm hmmm hmmm hmmm hmmm hmmmm hmm hmm hmm hmm hmm hmm hmm click here
gore gore o baanke chore kabhi meri gali aaya karo gori gori o baanki chori chaahe roz bulaya karo gore gore o baanke chore kabhi meri gali aaya karo gori gori o baanki chori chaahe roz bulaya karo roz roz mulaaqat achchhi nahin pyaar mein aisi baat achchhi nahin thoda thoda milna thodi si judaai sada chandni raat achchhi nahin chhodo chhodo jiya na todo kisi aur ko jalaya karo gori gori o baanki chori chaahe roz bulaya karo gore gore o baanke chore kabhi meri gali aaya karo gori gori o baanki chori chaahe roz bulaya karo choti si baat par ye ladaai pyaar ki duhaai hai pyaar ki duhaai ankhiyon mein ankhiyan daal ke to dekho chehre pe gussa hai dil mein safaai ghadi ghadi o badi badi achchhi baatein na banaya karo gori gori o baanki chori chaahe roz bulaya karo gore gore o banke chore kabhi meri gali aaya karo gori gori o baanki chori chaahe roz bulaya karo click here
tum naa jaane kis jahaan mein kho gaye tum naa jaane kis jahaan mein kho gaye hum bhari duniyaan mein tanha ho gaye tum naa jaane kis jahaan mein kho gaye maut bhi aati nahin aas bhi jaati nahin dil ko ye kya ho gaya koi sheh bhaati nahin loot kar mera jahaan chhup gaye ho tum kahaan loot kar mera jahaan chhup gaye ho tum kahaan tum kahaan tum kahaan tum kahaan aaaaa tum naa jaane kis jahaan mein kho gaye ek jaan aur laakh ghum ghut ke reh jaaye naa dam aao tumko dekh len doobti nazron se hum loot kar mera jahaan chhup gaye ho tum kahaan loot kar mera jahaan chhup gaye ho tum kahaan tum kahaan tum kahaan tum kahaan aaaaa tum naa jaane kis jahaan mein kho gaye hum bhari duniyaan mein tanha ho gaye tum naa jaane kis jahaan mein kho gaye click here
beqarar karke humen yun na jaaiye aapko humari kasam laut aaiye beqarar karke humen yun na jaaiye aapko humari kasam laut aaiye dekhiye wo kaali kaali badliyaan zulf ki ghata chura na le kahin chori chori aake shokh bijliyaan aap ki ada chura na le kahin yun kadam akele na aage badhaaiye aapko humari kasam laut aaiye beqarar karke humen yun na jaaiye aapko humari kasam laut aaiye dekhiye gulaab ki wo daaliyaan badhke choom le na aapke kadam dekhiye gulaab ki wo daaliyaan badhke choom le na aapke kadam khoye khoye bhanvre bhi hain baag mein koi aap ko bana na le sanam behki behki nazron se khud ko bachaaiye aapko humari kasam laut aaiye beqarar karke humen yun na jaaiye aapko humari kasam laut aaiye zindagi ke raaste ajeeb hain inn mein is tarha chala na kijiye khair hai isi mein aapki huzoor apna koi saathi dhoondh lijiye sun ke dil ki baat yun na muskuraaiye aapko humari kasam laut aaiye beqarar karke humen yun na jaaiye aapko humari kasam laut aaiye beqarar karke click here
aaj jaane ki zid naa karo aaj jaane ki zid naa karo aaj jaane ki zid naa karo yun hi pehlu mein baithe raho yun hi pehlu mein baithe raho aaj jaane ki zid naa karo haaye mar jaayenge hum to lut jaayenge aisi baaten kiya naa karo aaj jaane ki zid naa karo aaj jaane ki zid naa karo haaye mar jaayenge hum to lut jaayenge aisi baaten kiya naa karo aaj jaane ki zid naa karo tum hi socho zara kyun naa roke tumhen jaan jaati hai jab uth ke jaate ho tum jaan jaati hai jab uth ke jaate ho tum tum ko apni kasam jaane jaan baat itni meri maan lo aaj jaane ki zid naa karo yun hi pehlu mein baithe raho yun hi pehlu mein baithe raho aaj jaane ki zid naa karo haaye mar jaayenge hum to lut jaayenge aisi baaten kiya naa karo aaj jaane ki zid naa karo waqt ki qaid mein zindagi hai magar waqt ki qaid mein zindagi hai magar chand ghadiyaan yahi hai jo aazaad hai chand ghadiyaan yahi hai jo aazaad hai inko kho kar meri jaane jaan umr bhar naa taraste raho aaj jaane ki zid naa karo click here
kahin door jab din dhal jaaye saanjh ki dulhan badan churaye chupke se aaye kahin door jab din dhal jaaye saanjh ki dulhan badan churaye chupke se aaye mere khayaalon ke aangan mein koi sapnon ke deep jalaye deep jalaye kahin door jab din dhal jaaye saanjh ki dulhan badan churaye chupke se aaye kabhi yunhi jab huin bojhal saansen bhar aayeen baithe baithe jab yunhi aankhen kabhi yunhi jab huin bojhal saansen bhar aayeen baithe baithe jab yunhi aankhen kabhi machal ke pyaar se chalke chhuye koi mujhe par nazar na aaye nazar na aaye kahin door jab din dhal jaaye saanjh ki dulhan badan churaye chupke se aaye kahin to ye dil kabhi mil nahin paate kahin pe nikal aayen janmon ke naate kahin to ye dil kabhi mil nahin paate kahin pe nikal aayen janmon ke naate hai meethi uljhan bairee apna man apna hi ho ke sahe dard paraye dard paraye kahin door jab din dhal jaaye saanjh ki dulhan badan churaye chupke se aaye dil jaane mere saare bhed ye gehre kho gaye kaise mere sapne click here
hmm hmm hmm hmm hmm hmm hmm hmm hmm hmm hmm honton se chhoo lo tum mera geet amar kar do honton se chhoo lo tum mera geet amar kar do ban jaao meet mere meri preet amar kar do honton se chhoo lo tum mera geet amar kar do na umr ki seema ho na janm ka ho bandhan na umr ki seema ho na janm ka ho bandhan jab pyaar kare koi to dekhe kewal mann nayi reet chala kar tum ye reet amar kar do nayi reet chala kar tum ye reet amar kar do aakash ka soonapan mere tanhaa mann mein aakash ka soonapan mere tanhaa mann mein paayal chhankaati tum aa jaao jeevan mein saansein dekar apni sangeet amar kar do sangeet amar kar do mera geet amar kar do jag ne chheena mujh se mujhe jo bhi laga pyaara jag ne chheena mujh se mujhe jo bhi laga pyaara sab jeeta kiye mujhse main har dam hi haara tum haar ke dil apna meri jeet amar kar do tum haar ke dil apna meri jeet amar kar do honton se chhoo lo tum mera geet amar kar do click here
  Song Title Sort Song Title Ascending Sort Song Title Descending Film/Album Sort Album Name Ascending Sort Album Name Descending Duration Song Number  

Yeh Raatein Yeh Mausam Dilli Ka Thug (1958) 03:49 21482
 
Poster of Dilli Ka Thug (1958)
 
Category
Hindi Film
Year- 
1958
Lyricist
Shailendra
Music Director- 
Ravi
On Screen Actors- 
Nutan, Kishore Kumar
Raag- 
Kirawani
Taal- 
Dadra Tal
Duration : 03:49   Song Number : 21482   

Ajeeb Dastaan Hai Ye Dil Apna Aur Preet Parai (1960) 05:37 20125
 
Poster of Dil Apna Aur Preet Parai (1960)
 
Category
Hindi Film
Year- 
1960
Lyricist
Shailendra
Music Director- 
Shankar Jaikishan
Singer- 
Lata Mangeshkar
On Screen Actors- 
Meena Kumari
Duration : 05:37   Song Number : 20125   

Lag Jaa Gale Woh Kaun Thi (1964) 04:28 11973
 
Poster of Woh Kaun Thi (1964)
 
Category
Hindi Film
Year- 
1964
Music Director- 
Madan Mohan
Singer- 
Lata Mangeshkar
On Screen Actors- 
Sadhana
Raag- 
Pahadi
Taal- 
Dadra Tal
Duration : 04:28   Song Number : 11973   

Ye Samaa Samaa Hai Jab Jab Phool Khile (1965) 03:18 21455
 
Poster of Jab Jab Phool Khile (1965)
 
Category
Hindi Film
Year- 
1965
Lyricist
Anand Bakshi
Music Director- 
Kalyanji Anandji
Singer- 
Lata Mangeshkar
On Screen Actors- 
Shashi Kapoor
Duration : 03:18   Song Number : 21455   

Abhi Na Jaao Chhodkar Hum Dono (1961) 04:19 20099
 
Poster of Hum Dono (1961)
 
Category
Hindi Film
Year- 
1961
Lyricist
Sahir Ludhianvi
Music Director- 
Jai Dev
On Screen Actors- 
Dev Anand, Sadhana, Nanda
Raag- 
Yaman-Kalyan
Taal- 
Dadra Tal
Duration : 04:19   Song Number : 20099   

Aa Chal Ke Tujhe Door Gagan Ki Chhaon Mein (1964) 04:50 20003
 
Poster of Door Gagan Ki Chhaon Mein (1964)
 
Category
Hindi Film
Year- 
1964
Lyricist
Kishore Kumar
Music Director- 
Kishore Kumar
Singer- 
Kishore Kumar
On Screen Actors- 
Kishore Kumar
Duration : 04:50   Song Number : 20003   

Pukaarta Chala Hoon Main Mere Sanam (1965) 04:15 21115
 
Poster of Mere Sanam (1965)
 
Category
Hindi Film
Year- 
1965
Lyricist
Majrooh Sultanpuri
Music Director- 
O P Nayyar
Singer- 
Mohammed Rafi
On Screen Actors- 
Vishwajeet
Raag- 
Kirawani
Duration : 04:15   Song Number : 21115   

Chaudhvin Ka Chand Chaudhvin Ka Chand (1960) 03:29 20281
 
Poster of Chaudhvin Ka Chand (1960)
 
Category
Hindi Film
Year- 
1960
Lyricist
Shakeel Badayuni
Music Director- 
Ravi
Singer- 
Mohammed Rafi
On Screen Actors- 
Guru Dutt, Waheeda Rehman
Raag- 
Pahadi
Taal- 
Kaherava Tal
Duration : 03:29   Song Number : 20281   

Khuda E Bartar Teri Zameen Par Taj Mahal (1963) 02:56 37602
 
Poster of Taj Mahal (1963)
 
Category
Hindi Film
Year- 
1963
Lyricist
Sahir Ludhianvi
Music Director- 
Rajesh Roshan
Singer- 
Lata Mangeshkar
On Screen Actors- 
Bina Roy, Pradeep Kumar
Duration : 02:56   Song Number : 37602   

Kuchh Na Kaho 1942 A Love Story (1993) 06:08 20805
 
Poster of 1942 A Love Story (1993)
 
Category
Hindi Film
Year- 
1993
Lyricist
Javed Akhtar
Music Director- 
R D Burman
Singer- 
Kumar Sanu
On Screen Actors- 
Anil Kapoor, Manisha Koirala
Raag- 
Yaman-Kalyan
Duration : 06:08   Song Number : 20805   

Zindagi Ke Safar Mein Aap Ki Kasam (1974) 06:36 21506
 
Poster of Aap Ki Kasam (1974)
 
Category
Hindi Film
Year- 
1974
Lyricist
Anand Bakshi
Music Director- 
R D Burman
Singer- 
Kishore Kumar
On Screen Actors- 
Rajesh Khanna
Raag- 
Bihag
Taal- 
Kaherava Tal
Duration : 06:36   Song Number : 21506   

Pal Pal Dil Ke Paas Black Mail (1973) 05:25 18240
 
Poster of Black Mail (1973)
 
Category
Hindi Film
Year- 
1973
Lyricist
Rajendra Krishna
Music Director- 
Kalyanji Anandji
Singer- 
Kishore Kumar
On Screen Actors- 
Dharmendra, Rakhi
Duration : 05:25   Song Number : 18240   

Aap Ki Nazron Ne Samjha Anpadh (1962) 04:00 20065
 
Poster of Anpadh (1962)
 
Category
Hindi Film
Year- 
1962
Music Director- 
Madan Mohan
Singer- 
Lata Mangeshkar
On Screen Actors- 
Mala Sinha
Taal- 
Rupak Tal
Duration : 04:00   Song Number : 20065   

Ye Nayan Darre Darre Kohraa (1964) 04:39 12000
 
Poster of Kohraa (1964)
 
Category
Hindi Film
Year- 
1964
Lyricist
Kaifi Azmi
Music Director- 
Hemant Kumar (Mukherji)
On Screen Actors- 
Waheeda Rehman
Duration : 04:39   Song Number : 12000   

Gore Gore O Baanke Chore Samadhi (1950) 03:02 20480
 
Poster of Samadhi (1950)
 
Category
Hindi Film
Year- 
1972
Lyricist
Rajendra Krishna
On Screen Actors- 
Nalini, Kuldeep Kaur
Duration : 03:02   Song Number : 20480   

Tum Naa Jaane Kis Jahaan Sazaa (1951) 03:13 21364
 
Poster of Sazaa (1951)
 
Category
Hindi Film
Year- 
1951
Lyricist
Sahir Ludhianvi
Music Director- 
S D Burman
Singer- 
Lata Mangeshkar
On Screen Actors- 
Nimmi
Raag- 
Bilawal
Duration : 03:13   Song Number : 21364   

Beqarar Karke Humen Yun Na Jaiye Bees Saal Baad (1962) 03:34 20212
 
Poster of Bees Saal Baad (1962)
 
Category
Hindi Film
Year- 
1962
Lyricist
Shakeel Badayuni
Music Director- 
Hemant Kumar (Mukherji)
On Screen Actors- 
Waheeda Rehman, Vishwajeet
Duration : 03:34   Song Number : 20212   

Aaj Jaane Ki Zid Naa Karo Farida Khanum 07:26 11758
 
Poster of Farida Khanum
 
Category
Ghazal
Singer- 
Noor Jahan
Raag- 
Yaman-Kalyan
Duration : 07:26   Song Number : 11758   

Kahin Door Jab Din Anand (1970) 05:49 20720
 
Poster of Anand (1970)
 
Category
Hindi Film
Year- 
1970
Lyricist
Yogesh
Music Director- 
Salil Chowdhury
Singer- 
Mukesh
Duration : 05:49   Song Number : 20720   

Honthon Se Chhoo Lo Tum Prem Geet (1981) 04:57 18021
 
Poster of Prem Geet (1981)
 
Category
Hindi Film
Year- 
1981
Lyricist
Indeevar
Music Director- 
Jagjit Singh
Singer- 
Jagjit Singh
On Screen Actors- 
Raj Babbar, Anita Raj
Raag- 
Yaman-Kalyan
Duration : 04:57   Song Number : 18021