khuda wo waqt na laye khuda wo waqt na laye ke sogawaar ho tu khuda wo waqt na laye sukun ki neend tujhe bhi haraam ho jaye teri masarrat e paiham tamaam ho jaye teri hayat tujhe talkh jam ho jaye gamon se aaina e dil gudaz ho tera khuda wo waqt na laye hujum e yaas se betaab ho ke reh jaye wafur e dard se simab ho ke reh jaye tera shabaab faqat khwab ho ke reh jaye gurur e husn sarapa niyaz ho tera khuda wo waqt na laye tawil raaton mein tu bhi qaraar ko tarse teri nigaah kisi gamgusaar ko tarse khizanrasida tamanna bahaar ko tarse koi jabin na tere sang e aastaan pe jhuke khuda wo waqt na laye ke sogawaar ho tu khuda wo waqt na laye
Khuda Wo Waqt Na Laye
Talat Mahmood