koi gesu koi aanchal humein aawaaz na de ab kisi aankh ka kajal humein aawaaz na de hum hain khamosh to khamosh hi rehne do humein koi aahat koi halchal humein aawaaz na de hum ne tanhai ko mehboob bana rakha hai raakh ke dher ne sholon ko daba rakha hai phir pukara hai mohabat ne humein kya keeje di sada husn ki jannat ne humein kya keeje jis ke saye se bhi aksar humein dar lagta tha chhoo liya phir usi hasrat ne humein kya keeje hum ne jazbaat se daman ko bacha rakha hai raakh ke dher ne sholon ko daba rakha hai raas aaye na kabhi pyaar ke halaat humein dil ke is khel mein har baar huyi maat humein kya karenge kahan jayenge kidhar jayenge de gayi jab bhi daga gar yeh mulakaat hamein bas isi soch ne deewana bana rakha hai raakh ke dher ne sholon ko daba rakha hai raakh ke dher ne sholon ko daba rakha hai
Koi Gesu Koi Aanchal
Jagjit Singh