koi jo mila to mujhe aisa lagta tha jaise meri saari duniyaa mein geeton ki rutt aur rangon ki barkha hai khushboo ki aandhi hai mehki huyi si ab saari fizaayen hain behki huyi si ab saari hawaayen hain khoyi huyi si ab saari dishaayen hain badli huyi si ab saari adaayen hain jaagi umange hain dhadak raha hai dil saanson mein toofan hain honthon pe nagmen hain aankhon mein sapne hain sapnon mein beete huye saare wo lamhe hain jab koi aaya tha nazron pe chhaaya tha dil mein samaaya tha kaise mein bataun tumhen kaisa use paaya tha pyaare se chehre pe bikhri jo zulfen to aisa lagta tha jaise kohre ke peechhe ek oss mein dhula hua phool khila hai jaise baadal mein ek chaand chhupaa hai aur jhaank raha hai jaise raat ke parde mein ek savera hai roshan roshan aankhon mein sapnon ka saagar jis mein prem sitaaron ki chaadar jaise chhalak rahi hai lehron lehron baat karen ho jaise moti barse jaise kahin chaandi ki paayal goonje jaise kahin sheeshe ke jaam gire aur chhann se
Breathless
Shankar Mahadevan & Javed Akhtar